Delhi Full Statehood: Arvind Kejriwal will Sit on Hunger Strike from 1 March.

Home News Delhi Full Statehood: Arvind Kejriwal will Sit on Hunger Strike from 1 March.
Delhi Full Statehood Arvind Kejriwal will Sit on Hunger Strick from 1 March. Image, photo, picture freshnew.in
Spread the love

Delhi Full Statehood Arvind Kejriwal will Sit on Hunger Strick from 1 March. Image, photo, picture freshnew.in
Arvind Kejriwal Sir Image.

Delhi ko Full Statehood ka darja dilane ke liye team ka gathan shuru, wahin anshan par baithenge Delhi ke Chief Minister Arvind Kejriwal.

Arvind Kejriwal ne kaha ki 1st March se hum delhi mein aandolan shuru karenge aur ese tab tak khatm nahin kiya jayega jab tak delhi ko full statehood ka darja nahin de diya jayega.

New Delhi: Delhi ke Chief Minister Arvind Kejriwal ne delhi ko purn raajye ka darjaa dilaane ke liye anshan karne jaa rahe hain. Delhi ki vidhansabha mein budget session ke dauraan delhi ke chief minister ne kaha, ‘Delhi ko purn raajye ka darja dene ke liye ek march se main anishchitkaalin bhukh hadtaal par baithne jaa raha hun.

Delhi ke Chief minister Kejriwal ji ne kaha ki ek maarch se hum delhi mein aandolan shuru karenge aur ese tab tak khatm nahin kiya jayegaa jab tak delhi ko full statehood raajye kaa darjaa nahin de diya jayegaa. Unhonne kaha ki delhi ke purn raajye ke darjaa ke liye puri delhi mein aandolan shuru karne ki jarurat hai.

Gauratalab hai ki kuch din pehle hi Arvind Kejriwal ji ne Prime Minister Narendra Modi se delhi ko full statehood darjaa dene ki appeal ki thi. 20 February ko Arunachal Pradesh or Mizoram ke sthapna divas par badhaai dete hue modi ji ke tweet par pratikriyaa dete hua, kejriwal ji ne tweeter par kaha tha, “Sir, Delhi bhi apne sthapnaa diwas ka intjaar kar rahi hai. Aap ne Delhi ke logo se vadaa kiya tha ki aap delhi ko full statehood ka darja denge. Kripaya karke aisa karen Sir. Delhi ke log 70 years se naensafi jhel rahe hain.

Arvind Kejriwal ‘s Tweet

Aam Aadmi Party (AAP) es mudde ko aagami Loksabha Election mein apne prchaar abhiyan mein shaamil karne aur ek jan andolan shuru karne ki yojna bana rahi hai. Wahi Bhartiya Janta Party (BJP) ke 2014 Loksabha Election ke ghoshnapatr samet pichle election ke ghoshnaapatr baantegi, jismein party ne kaha hai ki vah delhi ke full statehood ke darje ki mang ka samarthan karti hai.

Es pahal ko aage badhate hue Arvind Kejriwal ne pehle se hi BJP Party ke purane tweets ko retweet karna shuru kar diya hai, jismein BJP ne full statehood ke darje ka vayda kiya tha ya eski maang ki thi. Dekhiye Delhi ke Chief Minister Arvind Kejriwal ne modi ji ke 2013 ke ek tweet ko retweet kiya hai.

Delhi ko Full Statehood ka darja dilane ke liye team ka gathan.

Delhi ko full statehood ka darja dilane ke prastaavit aandolan ko dhaar dene ke liye Aam Aadmi Party (AAP) ne youngsters ki teams ka gathan kiya hai. Chaatra Yuva Sangharsh Samiti ke sadasyon se bani teams ko JNU, Delhi Vishwavidyalaya aur Jamia Milia Islamia Vishwavidyalaya ke students tak aandolan ko pahunchane ka jimma diya gaya hai.

Gopal Rai ji ne batayaa ki Chaatra Yuva Sangharsh Samiti ki aandolan mein aham bhumikaa rahegi. Eski teams ko jimmedaari di gayi hai ki vah delhi ke youngsters and students ke bich aandolan ka vistaar karnaa hai. Saath hi youngsters ko aandolan se jodne ka jimmaa bhi teams ke paas hai

Video Credit – Quint Hindi

Gopal Rai ji ke mutaabik, aandolan ko vyaapak banane ke liye thursday ko AAP apne sabhi MLA ki meeting bhi kri thi. Es dauraan MLAs ke jariye delhiwalo ki nabj tatolne ki party koshish kari.

7 Zonal Level Team. (Delhi Full Statehood).

Esh baare mein Delhi ke pradesh sanyojak Gopal Rai ne Wednesday ko (CYSS) ke padaadhikaariyon ke saath meeting ki. Meeting mein ek raajye str ki team ke sath 7 Zonal Level teams north zone, west zone, kalkaji zone, south zone, east zone, central zone, outer zone ke gathan ka faisla liya gaya.

Zonal team raajy striy team ke niche kaam karengi. Wahin,Vishwavidyalaya str par kaam karne vaali teams ke bich samanvay ke liye ek alag se team banayi gayi hai. Es team ke niche vishwavidyalaya and delhi vishwavidyalaya ke alag-alag colleges ki teams kaam karengi.

Gopal Rai ne BJP party se kiye sawaal : (Delhi Full Statehood).

  1. Kya Prime Minister Narendra Modi and BJP president Amit Shah ne BJP ke delhi ke minister ko full statehood ke mudde par pichhe hatne ke liye kaha hai?
  2. Kya yeh satya nahin hai ki delhi ko full statehood banane ke liye BJP ke sansthaapak Lal Krishan Advani ne sansad men prastaav rakha tha?
  3. Kya BJP ke minister yeh maante hain ki Lal Krishan Advani dwaara rakha gaya prastaav galat thaa?
  4. Kya BJP ne apne pichle chunaavi ghoshnaa patro mein delhi ko full statehood ka darja dilaane ka vayda nahin kiya tha?

Read Also: PULWAMA TERRORIST ATTACK: PM MODI, LATEST NEWS UPDATES


Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published.

%d bloggers like this: