Holi 2019: Holi is the festival of colors: होलिका दहन.

Home News Holi 2019: Holi is the festival of colors: होलिका दहन.
Holi 2019 Holi is the festival of colors होलिका दहन, image, photo, picture
Spread the love

Holi 2019 Holi is the festival of colors होलिका दहन, image, photo, picture

Holi India ka bahut hi lokapriya aur harshoullaas se paripurn Festival hai. Iss din log chandan aur gulaal se holi khelte hain. Pratyek varsh march month ke aarambh mein yeh holi festival manayaa jaataa hai. Logon ka vishvaas hai ki holi ke chatak rang urjaa, jivantta aur aanand ke suchak hain. Holi ki purv sandhya par bdi maatraa mein holika dahan kiya jata hai aur log agni ki pujaa karte hain.

Holika Dahan Ki Kahani in Hindi. Holi 2019.

Prahalad se judi ek kinvadanti ke anusaar tabhi se holi ke festival aarambh hua tha. Prahalad ishwar ko samarpit ek baalak thaa, parantu uske pitaa ishwar ko nahin maante the. Wah bahut ghamandi aur krur raja the. Kahaani kuchh es tarah se aage bdhti hai ki prahalad ke pitaa ek naastik raja the aur unkaa hi putr har samay ishwar kaa naam japtaa rahta thaa. Es baat se aahaat ho kar vah apne putr ko sabak sikhana chaahte the.

Unhonne apne putr ko samjhaane ke saare pryaas kiye, parantu prahalad mein koi parivartan nahin aaya. Jab vah, prahalad ko badal nahin paaye to unhonne use maarne ki sochi. Essh kaam ke liye unhonne apni ek behan Holika ki madad li. Unki behan ko yeh vardaan praapt thaa ki yadi vah apni gaud mein kisi ko bhi le kar agni men parvesh karegi to svayn use kuchh nahin hoga parantu uski gaud mein baithaa vyakti bhasm ho jayegaa.

Raja ki behan ka naam holika tha. Holika ne prahalad ko jalaane ke liya apni gaud mein bithayaa, parantu prahalad ke sthaan par vah svayn jal gayi aur “hari om” kaa jaap karne evan ishwar ko samarpit hone ke kaaran, prahalad ki aag se raksha ho gayi aur vah surakshit baahar aa gaya.

Video Credit: Satlok Tv 24

Kuchh gaon mein log angaaron par se ho kar gujar jaate hain aur unhen kuchh bhi nahin hotaa, unke pairon mein chhaale/phaphole bhi nahin pdte! vishvaas mein bahut shakti hoti hai. Jivan mein vishvaas ka bdaa yogdaan hota hai. Aane vaale mansoon par holika dahan kaa prbhaav pdtaa hai.

Holika bhutkaal ke bojh ka suchak hai jo prahalad ki nishchhalta ko jala dena chaahti thi. Parantu naarayan bhakti se gehraai tak jude hue prahalad ne sabhi puraane sanskaaron ko svahaa kar diya aur phir naye rangon ke saath aanand kaa udgam hua. Jivan ek utsav ban jaataa hai. Bhutkaal ko chhod kar hum ek nayi shuruaat ki taraf bdhte hain. Humaari bhaavnayen aag ki tarah hamein jalaa deti hain, parantu jab rangon ka phawaraa phuttaa hai tab hamaare jivan men aakarshan aa jaata hai.

Agyaanta mein bhaavnaayen ek bojh ke samaan hoti hain, jabki gyaan mein vahi bhaavnaayen jivan mein rang bhar deti hain. Sabhi bhaavnaao kaa sambandh ek rang se hota hai jaise ki – laal rang krodh se, haraa ershyaa se, pilaa pulakit hone yaa prasanntaa se, gulaabi prem se, nilaa rang vishaaltaa se, shwet shaanti se aur kesariyaa santosh/tyaag se evan baingni gyaan se judaa hua hai. Tyauhaar kaa saar jaan kar gyaan mein holi kaa aanand uthaayen.

Holi 2019: Bollywood Top 10 Hindi Songs, Video, Holi Poem: Blog

Yahaan hai vo pahaadi jahaan bhakt prahalad ko gaud mein liyaa thaa holika ne.

Jhansi se karib 80 kilometre ki duri par Erach kasbe sthit hai. Yahaan holi kaa jashn ek mahine pehle se hi shuru ho jaataa hai. Kichad ki holi se hui shuruaat rangon ki holi kaa rup le leti hai. Rang yahaan rang panchmi tak lagataar khelaa jaataa hai. Bundelakhandi lokgiton ke sur galiyon aur chaupaalon mein pehle se hi gunjnaa shuru ho jaate hain. Eske pichhe kaa ek bdaa kaaran holika dahan ke pichhe ki kahaani ko manaa jataa hai.

Kehte hain yahaan ke gaon dhikoli mein vo pahaadi aaj bhi maujud hai, jahaan bhakt prahalad ke liye arthi sajaayi gayi thi. Kehte hain, chitaa ko taiyaar karne mein 8 din kaa vakt laga tha. Aur jab chitaa sajaayi jaati hai, to sabhi shubh kaam karnaa band kar diya jaataa hai. Esi kaaran se holaashtak ki parampraa chali aa rahi hai.

Dhikoli mein ek kila maujud hai, jise hiranyakashyap ka maana jaata hai.Es kile mein maujud praachin mandir mein bhagvaan narsingh ki murti ke alavaa prahalad ko gaud mein liye holika ma ki murti bhi maujud hai. Itihaas ke jaankaar Mukund Malhotra ke anusaar, kile ki ento ki kaarban dating se pataa chaltaa hai ki ye 10 hajaar saal se jyaada puraani hain. Esh sthaan kaa naam airach ko erikakch naam se jaana jaata tha, jise hiranyakashyap ke naam se jod kar dekhaa jaata hai.

Dhikoli ke dhikachal parvat se prahalad ko maarne ke liya uske pitaa ne betva nadi mein dhakel diyaa tha. Yahaan bhi naarayan ne apne bhakt ke praanon ki raksha ki thi. Tabhi es gaon ko dhikoli naam se janaa jaata hai. Manytaa hai ki nadi mein jis sthaan par prahalad ko dhakkaa diya gaya thaa, uski gahraai paataal tak maani jaati hai.

Read Also: Holi Festival Essay 2019: Essay on Holi in Hindi: Festival of Colours


Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published.