
Indian Foreign Secretary Vijay Gokhale
New Delhi: Indian Foreign Secretary Vijay Gokhale ne Tuesday ko patrkaaron ko batayaa ki Indian Airforce ke fighter jets (Miraz) ne niyantran rekha (LOC) ke paar jaakar pakistan ke balakot mein sthit terrorist camps ko nishana banayaa. Unhonne batayaa ki es karwahi mein badi sankhyaa mein terrorists ko maar girayaa gaya. Gokhale ne kaha ki hamne pak ko terrorist attack ke sabut kayi baar diye lekin pakistan ne un par koi karwahi nahin ki.
Yeh attack koi sainye karywahi nahin thaa balki iska maksad terrorist camps ko destroy karna tha. Indian Foreign Secretary Vijay Gokhale ne yeh jaankaari bhi di ki es yeh terrorist camps jaish aye mohammad pramukh masood azhar ke rishtedaar yusuf azhar dwaraa sanchaalit thaa. Unhonne kaha ki vishvasniye khufiyaa jaankaari mili thi ki 12 din pehle pulwama attack ko anjaam dene ke baad jaish aye mohammad india mein ek aur aatmghaati terrorist attack karne ki saajish rach raha hai. Es jaankaari ke baad border ke dusri or jaish aye mohammad ke sabse bade terrorist camp par gair-sainy ekatarpha hamle kiye gaye.
Vijay Gokhale ne batayaa ki Indian Airforce ne tuesday subah chalaye gaye abhiyaan mein terrorist sangathan jaish aye mohammad ke sabse bade training camp ko nishana banaya gaya, jismein badi sankhyaa mein jaish ke terrorists, trainers, commander aur jihaadi maare gaye. Unhonne bataya ki es camp ka chief Moulana Yousuf Azhar urph Ustaad Gauri kar raha tha, jo jaish pramukh masood ajzhar kaa rishtedaar (masood azhar ki patni kaa bhaai) thaa.
Gokhale ne kaha, hamne (India Airforce nai) jaish aye mohammad ke thikaano ko nishana banaya jo ghane jungle mein pahaadiyo par the aur naagarik elaako se dur the.’ Unhonne yeh bhi spasht kiya ki es jagah ka chayan es baat ko dhyaan mein rakhte hue kiya gaya tha ki civilians ko koi nuksaan n pahunche. Foreign Secretary ne yeh bhi kaha ki en terrorist campa mein itne bade paimaane par jehaadiyo ko prashikshan dena bina pakistan ke prshaasan ki jaankaari ke sambhav nahin tha. Pakistan ko kayi baar en terrorist camps thikaano ke baare mein jaankaari dete hue karywahi karne ko kaha gaya lekin usne es baare mein koi kadam nahin uthayaa.
Gokhale ne kaha ki aane vaale khatre ko dekhte hue, ektarfa karywahi ‘atyant aavashyak’ thi. Unhone yeh bhi kaha, ‘hum ummid karte hain ki pakistan apne 2004 ke sankalp par amal karega ki vah India ke khilaaf terrorist attacks ke liye apni jamin ka estemaal nahin hone degaa. India ki pakistan se apekshaa hai ki vah jaish aye mohammad sahit sabhi terrorist camps ko destroy karegaa. Foreign Secretary ne kaha India Terrorism se nipatne ke liye sabhi kadam uthaane ke liye tayyar hai.
Indian Airforce ne tuesday: subah ko tadke simaapaar pakistan sthit balakot mein aatanki gut jaish aye mohammad ke thikane ko nishanaa banayaa jismein badi sankhya mein terrorist, trainers, commander’s aur jihaadi mare gaye . Wahin tuesday subah ko karib 05:00 AM pakistan ki or se dava kiya gaya tha ki unhonne indian jets ko rok diya tha aur jets koi nuksaan pahunchaye bina hi bombs ko jaldibaaji mein giraakar vaapas laut gaye the.
Pakistan ke daave ke anusaar, ve bomb balakot mein gire jo ki pakistan adhikriat kashmir mein n hokar Khebar Pakhtunkhva praant mein hai. Safal ya asafal hone ki dono hi sthitiyon mein ese sirf niyantra rekhaa (LOC) paar karne ki karywahi nahin balki puri tarah se pakistan mein ghusne ki karywahi maani jayegi. Halaanki, balakot naam ka ek any sthaan LOC ke thik us paar hai.
Ek tweet mein Pakistan defence force ke pravaktaa ne kaha, ‘lakshye niyantran rekha ke us paar thaa. Indian Airforce ki ghuspaith ‘aazad jammu kashmir’ ke bhitar muzafarabaad sector mein LOC ke paar 3-4 mile tak thi. Unhonne jaldbaaji mein bomb gira diye jo ki ek khule elaake mein gire. Esmein kisi bhi tarah ka koi nuksaan nahin huaa.’
Yeh Airforce Strike 14 February ko
Isse pehle, sitambar 2016 mein, videsh mantraalay aur raksha mantraalay ke sanyukt sanvaddata sammelan ke maadhyam se indian government ne ghoshnaa ki thi ki usne niyantran rekhaa par ’surgical strike’ kiya tha. Kashmir ke uri mein Indian Army ke Brigade mukhyaalay par terrorist attack ke baad lagbhag 11 dino baad yeh strike ki gayi thi. Bata den ki 27 February ko chin ke vujhen men hone vaali India, China and Russia ki tripakshiy meeting ke liye videsh mantri sushma swaraj ko mangalvaar ko nikalnaa hai.
Vahin, mangalvaar ko pakistan ne kashmir aur jeddaah par Islamic Sahyog Sangathan (ISS) sampark samuh ki aapaat baithak bulaai hai. 1 march ko ish sangathan ke videsh mantriyon ki meeting ke udghaatan samaaroh ko sambodhit karne ke liye india ko pehle hi mejbaan sanyukt Arab Emirate dvaaraa ‘Guest of Honour‘ ke rup men aamantrit kiya gaya hai. Bata dein ki duniyaa bhar mein pulwama terrorist attack ki nindaa hui thi. Halaanki, keval america ne saarvjanik rup se apne bayaano mein pakistan ka naam liya thaa.
Eske saath hi dono desho ke raashtriy surakshaa salaahkaaron ke bich hui baatchit men america ne india ke aatmarakshaa ke adhikaar ko svikaar kiya thaa. Haal hi mein india ne pakistan se ‘Most Favoured Nation’ kaa darja chhin liya tha aur pakistan se aane vaale saamaano par simaa shulk 200% badha diya thaa. Eske ek week baad hi pulwama attack ko lekar sanyukt raashtr surakshaa parishad ne ek bayaan jaari kiya tha jismen hamle ki jimmedaari lene vaale jaish aye mohammad kaa bhi naam liya gaya tha.
Leave a Reply