पाकिस्तान ने कबूला कहा बडगाम में विमान क्रैश हुआ,हमने नही गिराया.

Home Hindi पाकिस्तान ने कबूला कहा बडगाम में विमान क्रैश हुआ,हमने नही गिराया.
पाकिस्तान ने कबूला कहा बडगाम में विमान क्रैश हुआ,हमने नही गिराया.
Spread the love

Indian Airforce fighter jet MIG

Jammu Kashmir mein Indian Airforce ka fighter jet MIG hua crash, hadshe ki vajah spasht nahin.

Indian Airforce ka fighter jet MIG Jammu-Kashmir ke srinagar se udaan bharne ke baad budgam ke paas crash ho gaya. Haadse ki vajah spasht nahin hai lekin technical faulti ki aashanka jatayi ja rahi hai.

Jammu & Kashmir: Jammu-Kashmir ke budgaam mein Indian Airforce ka fighter jet MIG crash ho gaya hai. Filhaal haadse ki vajah spasht nahin hai. Halaanki technical fault ki aashankaa jatayi jaa rahi hai. Media reports ke anusaar, jet ke dono pilots ki maut ho gayi hai. Bata den ki esse pehle bhi alag-alag haadso mein fighter jet durghatnagrast ho chuke hain lekin tuesday ko strike ke baad se desh ke kayi elaakon mein high alert hai, es vajah se yeh haadsaa bada batayaa jaa raha hai.

Batayaa ja raha hai ki fighter jet MIG Air Patrol mission par tha aur srinagar se udaan bhari thi. Budgaam ke paas jet mein dhamaaka hua aur crash hone ke baad niche gir gaya. Ghatnaasthal se jo photos saamne aa rahi hain usmen jet ke malbe ke saath aag dikh rahi hai aur badi sankhya mein local peoples vahaan maujud hain. Tuesday ko Indian Airforce ke pakistan mein ghusakar terrorist camps par Air Strike karne ke baad se desh high alert par hai. Vahin India-Pakistan Border simaa par senaa mushtaid hai.

Security Reason se high alert par kayi airport jammu, srinagar, leh, Chandigarh, amritsar ke air space band.

Pakistan ki simaa men ghusakar jaish ke terrorist camp par indian airforce ke air strike ke baad pakistan aur india ke bich tanaatni badh gayi hai. Border par pakistani jets ki harakton ke maddenajar surakshaa ke lihaaj se ehatiyaat baratte huye india aur pakistan ki simaa se jude airport aur airspace ko high alert par kar diya gaya hai. Sutro se mili jaankaari ke mutabik, jammu, srinagar, leh aur chandigarh air space ko band kar diya gaya hai aur kayi udaano ko rok diya gaya hai.

Mehbooba Mufti boli, agar Article 35-A mein badlaav hua to log tirange ki jagah koi aur flag thaam sakte hain.

Indian Airforce ke jet dwara niyantran rekhaa paar kar tuesday ko pakistan ke bhitar ek bade terrorist camps ko nasht karne ke baad aisi aashankaa hai ki us paar se jawaabi karwayi ki jaa sakti hai. Esi chetaavni ko dekhte hue en elaakon ko high alert par rakh diya gaya hai.

Aisi report hai ki pakistani fighter jets ne jammu-kashmir ke punchh aur rajouri sector ne indian air space kaa ullanghan kiya hai. Aisa batayaa ja raha hai ki jis tarah se indian airfoce ne pakistan ki simaa mein jaakar jaish ke camps ko tabaah kiya hai, vaisi hi kuchh harkat pakistan kar sakta hai.

Wahin, pak airforce ki or se sima ullanghan ki khabro ke bich pakistan sarkaar ne dava kiya hai ki ‘aaj hamne paakistan simaa men rehkar hi niyantran rekha par hamle kiya. Yeh badla (Revenge) nahin hai, hum sirf yeh dikhana chaahte the ki hum aatmarakshaa mein saksham hain. humara lakshy asainy thaa, taaki jaani nuksan na ho. Hum tanaav ko badhana nahin chaahte.”

Credit – NDTV India

Darasal, Indian Airforce ne tuesday ko sun rise hone se pehle hi badi kaarrvaai karte hue pakistan sthit aatanki sangathan jaish-aye-mohammad ke sabse bade camps ko tabaah kar diya tha, jismen lagbhag 300 terrorist aur unke trainers maare gaye. Pakistan ne pulwama terrorist attack ke baad en terrorist ko unki surakshaa ke liye es camps mein bhejaa thaa. Karib 20 minute se bhi kam samay mein anjaam diya gaya indian airforce ka yeh attack atyant tvarit aur satik tha.

Government ne kaha ki hamlaa kisi sainye thikaane par nahin, keval terrorist camps par kiya gaya aur ese ‘hamlon ko rokne‘ ke uddeshy se ‘‘aihatiyaat” ke taur par anjaam diya gaya. Unhonne kaha ki yeh thikana jungle men ek pahaadi par sthit tha aur five star resort mein bana tha. Eske chalte yeh ‘‘aasaan nishanaa” ban gaya tathaa terrorist ko nind mein hi maut ke aagosh mein sulaa diya gaya.


Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published.