
Rafale Deal: Today Supreme Court Verdict on Dassault Rafale scam controversy, To know, what is the real controversy of Rafale jet, check out the Fresh News India’s Latest News Blog.
Rafale Deal par faisle ki hogi samiksha? Supreme Court ne kaha- jald sunvaai ke liye karenge vichaar.
Supreme Court ke Chief Justice Rajan Gigoi ne kaha ki filhaal tarikh tay karna mushkil hai, lekin phir bhi vo es par vichaar karenge.
New Delhi: Supreme Court ne Rafale Deal maamle mein apne faisle ki samiksha ki maang sambandhi yaachikaa par sunvaai karne ke liye sehmati jata di hai. varishth vakil prshaant bhushan ne Rafale Deal par yaachikaaon par jald sunvaai ki maang ki thi.
Saath hi CJI ne kahaa ki Rafale Jet Scam Controversy se sambandhit sabhi yaachikaao ki sunvaai ke liye judges ki bench kaa gathan karnaa aavashyak hai. Bataa dein, rafale par 14 december ke faisle par chaar yaachikaaan daakhil ki gayi thi.
Pehli sanshodhan yaachikaa central government dwaara daakhil ki gayi, jismein kaha gaya hai ki court ke faisle mein CAG report sansad ke saamne rakhi gayi ki tippni ko thik karein.
Eske alavaa Supreme Court Advocate Prashaant Bhushan, Yashvant Sinha aur Arun Shauri ne punarvichaar yaachikaa mein adaalat se rafale Scam aadesh ki samikshaa karne ke liye kaha tha jismen kaha gaya ki sarkaar ne rafale jet deal kaa adhigrahan karne ke liye nirnay lene ki sahi prakriyaa ka paalan kiyaa hai.
Senior Advocate Prashant Bhushan ne Rafale scam controversy maamle mein kuchh adhikaariyon ke khilaaf nyayaalay ko gumraah karne ke liye jhuthi gawaahi dene sambandhi abhiyog ki maang karne vaali yaachikaa par sunvaai kaa bhi anurodh kiya.
Btaa dein, Supreme Court ne pehle bhi AAP party ke sasand Sanjay Singh, Prashant Bhushan, Arun Shauri aur Yashwant Sinha ki yaachikaaon par faisla sunayaa thaa. En yaachikaaon mein Rafale Deal ki court ki nigraani mein SIT jaanch ki maang ki gayi thi.
Wahi kuch dino Rafale Deal ka mamla jab garma gya tha jab Manohar Parikar ne batayaa tha ki Rafale Deal controversy badalte samay Prime Minister ne unse nahin puchhaa tha.
Former Defence Minister aur Goa ke Chief Minister Manohar Parikar ne Rahul Gandhi se hui mulaakaat ke sambandh mein kaha ki 5 minute ki baatchit mein Rafale saude ko lekar koi baatchit nahin hui. Congress President Rahul Gandhi ne Rafale Deal controversy ko lekar Prime Minister Narendra Modi par nishanaa saadhte huye kuch dino pehle davaa kiya tha ki Former Defence Minister Manohar Parikar ne spasht rup se kaha thaa ki ‘naaye saude’ se unkaa koi lena-dena nahin hai.
Wahi Congress President ne kochi men booth striy paarty kaaryakartaao ki baithak mein kaha tha, ‘doston, purv rakshaa mantri manohar parikar ne kaha hai ki naye Rafale saude se unka koi lenaa-denaa nahin hai, jise Narendra Modi ne Anil Ambani ke faayde ke liye kiya.
Wahi agle din Rahul Gandhi ne kaha, ‘main kal parrikar ji se mila thaa. Parikar ji ne svayan kaha thaa ki deal badalte samay PM ne India ke Defence Minister se nahin puchha thaa.’
Panji mein raajya sachivaalay parisar mein Goa ke Cheif Minister Manohar Parikar se mulakaat ke kuchh ghante baad unhonne yeh byaan diya tha. Beharhaal, Congres President ne yeh spasht nahin kiya ki parrikar ke saath baithak ke dauraan kya es mudde par charchaa hui.
Udhar, Rahul Gandhi se mulaakaat ko lekar Goa ke Chief Minister aur Former Defence Minister Manohar Parikar ne ek patr jaari kiya hai tha. Esh patr mein unhonne kahaa hai, ‘mujhe es baat par niraashaa hui ki aapne (Rahul Gandhi) es mulaakaat ka estemaal raajnitik laabh ke liye kiya. Aapne paanch minute mere saath gujaare. Es dauraan aapne rafale deal controversy ko lekar koi baatchit ki aur n hi mainne es sambandh mein kuchh kahaa.’
Apko maalum ho ki congress party ne biti 2 january ko rafale deal and scam ko lekar former defence minister or goa ke chief minister manohar parikar par gambhir aarop lagayaa the. Congress ne es tap ke jaria rafale mudde par Central Government par hamlaa kiyaa tha.
Congress ne BJP Minister aur Goa ke Health Minister Vishwajit P. Rane ke saath kisi agyaat vyakti ke saath kathit baatchit ki recording bhi jaari kri thi.
Esmein kathit rup se Rane ek vyakti ko ye bata rahe hain ki Rafale se sambandhit documents Manohar Parikar ke bedroom mein hain. Es audio ki prmaaniktaa ki svatantr rup se pushti nahin hui thi.
Esi ke aadhaar par congress party ne davaa kiya thaa ki Manohar Parikar ne Cabinet Meeting mein kaha thaa ki rafale deal ke document unke bedroom mein hain, unkaa koi kuchh nahin bigaad sakta.
Ab Rafale Deal and scam controversy par dekhna ye hai ki Supreme Court ismein dubara kya sunvai karta hai.
Leave a Reply